Snsd dvara anumny smbaidhanik vyavstha evam sambidhan ki samay - samay pr smiksha krna aur samajik aavsyakta evam hone wale parivrtan ke hisab se usme bhi bdlav krna desh evam smaj ke liy hitkari hai.Aajadi ke bad bhartiya smbidhan me anusuchit jatiyo ke liy aarakshan evam unki suraksha ke liy vishesh pravdhan kiya gya tha.SC / ST suraksha adhiniyam ke dvara unke hit me aisi vyavstha ki gai ki smaj ke anya vrg ke log unke upar apni aarthik ,samajik sthiti ka anuchit dabav na dal sake.Bees sal Bad uski smeeksha ka pravdhan bhi tha,kintu shasnarudh kangresee srkar dvara use aagami bees sal ke liy punah lagu rakhne ki manjuri de di gai .Sambhavtah us samay iski aavsyakta bhi thi,kyoki us samay tak is vrg ki aarthik sthiti me koi vishesh badlaav nahi aaya tha.iske pashchat mandal kameeshan ki sifarish pr pichhdi jatio ko bhi aarakshan ke dayre me laya gya,tb se aaj tak kisi bhi rajnaitik dal ne snsd me in vyavsthao me parivrtan krne ya smbandhit smuday ki aarthik ,samajik sthiti ki smeeksha krne ke liy koi thos kadam nahi uthaya.Aaj aarakshan evam anusuchit - anusuchit janjati suraksha adhiniyam vot bank ki rajneeti se is tarah jud gya hai ki pichhde evam anusuchit vrg ke neta ise apne voot bank ke liy hathiyar ki tarah istemal kr rahe hai.vot bank ke liy kuchh rajnaitik dalo dvara jaat aarakshan ka mudda jor sor se uthaya jata hai, to kuchh rajnaitik dal muslim sampraday ko aarakshan dene ki bat krte hai.Is karan desh me jati,vrg aur smpraday ke roop me vighatan badh raha hai.Alag - alag jatiyo ke alag alag dl hai, jo jateey bhavnao ko bhadkane ka kam kr rahe hai..
Yadi bhartiy samaj Ka bibhajan gareeb,mdham evam ameer vrg ke roop me kiya jay evam srkari star pr milne wali aarakshan,suraksha evam anya subidhao ka vitran isi aadhar pr kiya jay to Sambhav hai ki ktipaya swarthi tatvo ke atirikt smaj ke sabi jatio,Vrgo evam smprday ke prabuddh log is srkari kdam ka swagat kregi.
Desh me jati evam smpraday ke aadhar pr hone wali rajneeti dheere-dheere svatah smapt ho jayegi aur ise badhava dene wale neta aane wale dino me nepathya me chale jayege..........
No comments:
Post a Comment