Tuesday, 6 May 2014

Ananya said "Kaun Hai Muslimo Ka Shubhchintak (Hitaisi)"

Bharat me muslim smaj ki aadhi se adhik aabadi greebi rekha se niche ka jivaan yaapan kr rahi h.bahut se parivaro ke pas na to koi rojgar h aur na hi achchhi naukri jiske dvara unka pariwar uchit shiksha diksha grahan kr sake aur jeevan ki aavshyak jarurato ko pura kr sake.dainik majduri aur chhote vyavsay ke dvara kisi tarah jeevan yapan krne ko mjboor un greebo ko SABJBAAG dikha kr thagne ka karya bahut dino se chal raha h."Bharat ke sansadhano pr pahla haq muslmano ka hai.musalmano ko alag se 9%,15% ya 17% aarakshan diya jana chahiy " ityadi jumle sunte sunte unke kan pk gye h. Aisi bhasha bolne wale neta prayah unki bhavnao se khelte h aur chunav m unka upyoog kr k apne paksh me krne ke liy prayatnshil rahte h.kuch Rasukh wale muslim neta bhi aise hi dlo ke sath unki ha me ha milate h aur apne ko muslmano ka hitaisi aur numaainda kahte h.greeb muslmano ko inki kutneeti ko smjhna hoga aur yah tay krna pdega ki unka vastvik hitaishi kaun h. Bharat me Hindu - Muslmaan,alpsankyak -bahusankhyak, dharmnirpekshta-sampradaikta jaisi diwaro ko tod kr sbko greeb ameer ki shreni me rakh kr sarv smaj ka nveen dhancha. Taiyar krna hoga aur bgair mjhavi bhwdbhav ke muslmano ko bhi hinduo ke sath smanta ke aadhar pr sarvjnik kshetr me sman avsar uplabdh krana hoga.Kyoki aarthik aadhar pr jati vrg ya smpraday me antr kiy bina sbko sman avsar uplabdh krana srkar ka uttardaitva hai.muslmano ko b iske liy jagruk hona chahiy.bhashai rajneeti se upr uthna chahiy aur takniki kshisha ki or aage bdhna chahiy. Tbhi musalman bhai -bahan aadhunik bharat ke sath kadam se kadam mila kr chal sakne me saksham ho sakte h.anyatha jakriti ke is pdav pr aur iske aage b kuch aise dal jo inke khas hone ka dava krte h, inki bhavnao ka labh utha kr inhe aise hi drkinar krte jayege.......

1 comment:

  1. vote bank ki rajniti karne wali partiyo ko ballet k dwara jabab dena chahiye . har ak nagrik ka kartabya hota hai desh ko aage le Jane me chahe o birth control ho ya phir higher education.....
    growth of nation is depend on how the people of that nation is mentally and spiritually strong.
    that lead the nation
    for every cause we are responsible ...hame dusro k saharo/ lathi par bharosha nahi karni chahiye .

    ReplyDelete